Faiz Ahmad Faiz

ye jafa-e-gham ka chaara wo najat-e-dil ka aalam

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
ye jafā-e-ġham kā chāra vo najāt-e-dil kā aalam
tirā husn dast-e-īsā tirī yaad rū-e-maryam
dil o jaañ fidā-e-rāhe kabhī aa ke dekh hamdam
sar-e-kū-e-dil-figārāñ shab-e-ārzū kā aalam
tirī diid se sivā hai tire shauq meñ bahārāñ
vo chaman jahāñ girī hai tire gesuoñ kī shabnam
ye ajab qayāmateñ haiñ tire rahguzar meñ guzarāñ
na huā ki mar miTeñ ham na huā ki jī uTheñ ham
lo sunī ga.ī hamārī yuuñ phire haiñ din ki phir se
vahī gosha-e-qafas hai vahī fasl-e-gul kā mātam
Top Urdushayar.com