Faiz Ahmad Faiz

na kisi pe zaKHm ayan koi na kisi ko fikr rafu ki hai

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
na kisī pe zaḳhm ayaañ koī na kisī ko fikr rafū kī hai
na karam hai ham pe habīb kā na nigāh ham pe adū kī hai
saf-e-zāhidāñ hai to be-yaqīñ saf-e-mai-kashāñ hai to be-talab
na vo sub.h vird-o-vazū kī hai na vo shaam jām-o-subū kī hai
na ye ġham nayā na sitam nayā ki tirī jafā kā gilā kareñ
ye nazar thī pahle bhī muztarib ye kasak to dil meñ kabhū kī hai
kaf-e-bāġhbāñ pe bahār-e-gul kā hai qarz pahle se besh-tar
ki har ek phuul ke pairahan meñ numūd mere lahū kī hai
nahīñ ḳhauf-e-roz-e-siyah hameñ ki hai 'faiz' zarf-e-nigāh meñ
abhī gosha-gīr vo ik kiran jo lagan us ā.īna-rū kī hai
Top Urdushayar.com