Faiz Ahmad Faiz

wahin hain dil ke qarain tamam kahte hain

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
vahīñ haiñ dil ke qarā.in tamām kahte haiñ
vo ik ḳhalish ki jise terā naam kahte haiñ
tum aa rahe ho ki bajtī haiñ merī zanjīreñ
na jaane kyā mire dīvār-o-bām kahte haiñ
yahī kanār-e-falak kā siyah-tarīñ gosha
yahī hai matla-e-māh-e-tamām kahte haiñ
piyo ki muft lagā dī hai ḳhūn-e-dil kī kashīd
girāñ hai ab ke mai-e-lāla-fām kahte haiñ
faqīh-e-shahr se mai kā javāz kyā pūchheñ
ki chāñdnī ko bhī hazrat harām kahte haiñ
navā-e-murġh ko kahte haiñ ab ziyān-e-chaman
khile na phuul ise intizām kahte haiñ
kaho to ham bhī chaleñ 'faiz' ab nahīñ sar-e-dār
vo farq-e-martaba-e-ḳhās-o-ām kahte haiñ
Top Urdushayar.com