Faiz Ahmad Faiz

ab jo koi puchhe bhi to us se kya sharh-e-haalat karen

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
ab jo koī pūchhe bhī to us se kyā sharh-e-hālāt kareñ
dil Thahre to dard sunā.eñ dard thame to baat kareñ
shaam huī phir josh-e-qadah ne bazm-e-harīfāñ raushan kī
ghar ko aag lagā.eñ ham bhī raushan apnī raat kareñ
qatl-e-dil-o-jāñ apne sar hai apnā lahū apnī gardan pe
mohr-ba-lab baiThe haiñ kis kā shikva kis ke saath kareñ
hijr meñ shab bhar dard-o-talab ke chāñd sitāre saath rahe
sub.h kī vīrānī meñ yaaro kaise basar auqāt kareñ
Top Urdushayar.com