Faiz Ahmad Faiz

teri surat jo dil-nashin ki hai

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
terī sūrat jo dil-nashīñ kī hai
āshnā shakl har hasīñ kī hai
husn se dil lagā ke hastī kī
har ghaḌī ham ne ātishīñ kī hai
sub.h-e-gul ho ki shām-e-mai-ḳhāna
mad.h us rū-e-nāznīñ kī hai
shaiḳh se be-hirās milte haiñ
ham ne tauba abhī nahīñ kī hai
zikr-e-dozaḳh bayān-e-hūr o qusūr
baat goyā yahīñ kahīñ kī hai
ashk to kuchh bhī rañg lā na sake
ḳhuuñ se tar aaj āstīñ kī hai
kaise māneñ haram ke sahl-pasand
rasm jo āshiqoñ ke diiñ kī hai
'faiz' auj-e-ḳhayāl se ham ne
āsmāñ sindh kī zamīñ kī hai
Top Urdushayar.com