sabhī kuchh hai terā diyā huā sabhī rāhateñ sabhī kulfateñ
kabhī sohbateñ kabhī furqateñ kabhī dūriyāñ kabhī qurbateñ
ye suḳhan jo ham ne raqam kiye ye haiñ sab varaq tirī yaad ke
koī lamha sub.h-e-visāl kā koī shām-e-hijr kī muddateñ
jo tumhārī maan leñ nāsehā to rahegā dāman-e-dil meñ kyā
na kisī adū kī adāvateñ na kisī sanam kī muravvateñ
chalo aao tum ko dikhā.eñ ham jo bachā hai maqtal-e-shahr meñ
ye mazār ahl-e-safā ke haiñ ye haiñ ahl-e-sidq kī turbateñ
mirī jaan aaj kā ġham na kar ki na jaane kātib-e-vaqt ne
kisī apne kal meñ bhī bhuul kar kahīñ likh rakhī hoñ masarrateñ