Faiz Ahmad Faiz

kai bar is ka daman bhar diya husn-e-do-alam se

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
ka.ī baar is kā dāman bhar diyā husn-e-do-ālam se
magar dil hai ki is kī ḳhāna-vīrānī nahīñ jaatī
ka.ī baar is kī ḳhātir zarre zarre kā jigar cherā
magar ye chashm-e-hairāñ jis kī hairānī nahīñ jaatī
nahīñ jaatī matā-e-lāl-o-gauhar kī girāñ-yābī
matā-e-ġhairat-o-īmāñ kī arzānī nahīñ jaatī
mirī chashm-e-tan-āsāñ ko basīrat mil ga.ī jab se
bahut jaanī huī sūrat bhī pahchānī nahīñ jaatī
sar-e-ḳhusrau se nāz-e-kaj-kulāhī chhin bhī jaatā hai
kulāh-e-khusravī se bū-e-sultānī nahīñ jaatī
ba-juz dīvāngī vaañ aur chāra hī kaho kyā hai
jahāñ aql o ḳhirad kī ek bhī maanī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com