shām-e-firāq ab na pūchh aa.ī aur aa ke Tal ga.ī
dil thā ki phir bahal gayā jaañ thī ki phir sambhal ga.ī
bazm-e-ḳhayāl meñ tire husn kī sham.a jal ga.ī
dard kā chāñd bujh gayā hijr kī raat Dhal ga.ī
jab tujhe yaad kar liyā sub.h mahak mahak uThī
jab tirā ġham jagā liyā raat machal machal ga.ī
dil se to har mo.āmla kar ke chale the saaf ham
kahne meñ un ke sāmne baat badal badal ga.ī
āḳhir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kyā hue
rah ga.ī kis jagah sabā sub.h kidhar nikal ga.ī