sahal yuuñ rāh-e-zindagī kī hai
har qadam ham ne āshiqī kī hai
ham ne dil meñ sajā liye gulshan
jab bahāroñ ne be-ruḳhī kī hai
zahr se dho liye haiñ hoñT apne
lutf-e-sāqī ne jab kamī kī hai
tere kūche meñ bādshāhī kī
jab se nikle gadāgarī kī hai
bas vahī surḳh-rū huā jis ne
bahr-e-ḳhūñ meñ shanāvarī kī hai
jo guzarte the 'dāġh' par sadme
ab vahī kaifiyat sabhī kī hai