hasrat-e-dīd meñ guzarāñ haiñ zamāne kab se
dasht-e-ummīd meñ gardāñ haiñ divāne kab se
der se aañkh pe utrā nahīñ ashkoñ kā azaab
apne zimme hai tirā qarz na jaane kab se
kis tarah paak ho be-ārzū lamhoñ kā hisāb
dard aayā nahīñ darbār sajāne kab se
sar karo saaz ki chheḌeñ koī dil-soz ġhazal
DhūñDtā hai dil-e-shorīda bahāne kab se
pur karo jaam ki shāyad ho isī lahza ravāñ
rok rakkhā hai jo ik tiir qazā ne kab se
'faiz' phir kab kisī maqtal meñ kareñge ābād
lab pe vīrāñ haiñ shahīdoñ ke fasāne kab se