sharh-e-firāq mad.h-e-lab-e-mushkbū kareñ
ġhurbat-kade meñ kis se tirī guftugū kareñ
yaar āshnā nahīñ koī Takrā.eñ kis se jaam
kis dil-rubā ke naam pe ḳhālī subū kareñ
siine pe haath hai na nazar ko talāsh-e-bām
dil saath de to aaj ġham-e-ārzū kareñ
kab tak sunegī raat kahāñ tak sunā.eñ ham
shikve-gile sab aaj tire rū-ba-rū kareñ
hamdam hadīs-e-kū-e-malāmat sunā.iyo
dil ko lahū kareñ yā garebāñ rafū kareñ
āshufta-sar haiñ muhtasibo muñh na aa.iyo
sar bech deñ to fikr-e-dil-o-jāñ adū kareñ
''tar-dāmanī pe shaiḳh hamārī na jā.iyo
dāman nichoḌ deñ to farishte vuzū kareñ''