Faiz Ahmad Faiz

fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
fikr-e-dildāri-e-gulzār karūñ yā na karūñ
zikr-e-murġhān-e-giraftār karūñ yā na karūñ
qissa-e-sāzish-e-aġhyār kahūñ yā na kahūñ
shikva-e-yār-e-tarah-dār karūñ yā na karūñ
jaane kyā vaz.a hai ab rasm-e-vafā kī ai dil
vaz-e-derīna pe isrār karūñ yā na karūñ
jaane kis rañg meñ tafsīr kareñ ahl-e-havas
mad.h-e-zulf-o-lab-o-ruḳhsār karūñ yā na karūñ
yuuñ bahār aa.ī hai imsāl ki gulshan meñ sabā
pūchhtī hai guzar is baar karūñ yā na karūñ
goyā is soch meñ hai dil meñ lahū bhar ke gulāb
dāman o jeb ko gulnār karūñ yā na karūñ
hai faqat murġh-e-ġhazal-ḳhvāñ ki jise fikr nahīñ
mo.atadil garmi-e-guftār karūñ yā na karūñ
Top Urdushayar.com