jamegī kaise bisāt-e-yārāñ ki shīsha o jaam bujh ga.e haiñ
sajegī kaise shab-e-nigārāñ ki dil sar-e-shām bujh ga.e haiñ
vo tīrgī hai rah-e-butāñ meñ charāġh-e-ruḳh hai na sham-e-vāda
kiran koī aarzū kī laao ki sab dar-o-bām bujh ga.e haiñ
bahut sambhālā vafā kā paimāñ magar vo barsī hai ab ke barkhā
har ek iqrār miT gayā hai tamām paiġhām bujh ga.e haiñ
qarīb aa ai mah-e-shab-e-ġham nazar pe khultā nahīñ kuchh is dam
ki dil pe kis kis kā naqsh baaqī hai kaun se naam bujh ga.e haiñ
bahār ab aa ke kyā karegī ki jin se thā jashn-e-rañg-o-naġhma
vo gul sar-e-shāḳh jal ga.e haiñ vo dil tah-e-dām bujh ga.e haiñ