Faiz Ahmad Faiz

teri umid tera intizar jab se hai

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
tirī umiid tirā intizār jab se hai
na shab ko din se shikāyat na din ko shab se hai
kisī kā dard ho karte haiñ tere naam raqam
gila hai jo bhī kisī se tire sabab se hai
huā hai jab se dil-e-nā-subūr be-qābū
kalām tujh se nazar ko baḌe adab se hai
agar sharar hai to bhaḌke jo phuul hai to khile
tarah tarah kī talab tere rañg-e-lab se hai
kahāñ ga.e shab-e-furqat ke jāgne vaale
sitāra-e-saharī ham-kalām kab se hai
Top Urdushayar.com