rah-e-ḳhizāñ meñ talāsh-e-bahār karte rahe
shab-e-siyah se talab husn-e-yār karte rahe
ḳhayāl-e-yār kabhī zikr-e-yār karte rahe
isī matā.a pe ham rozgār karte rahe
nahīñ shikāyat-e-hijrāñ ki is vasīle se
ham un se rishta-e-dil ustuvār karte rahe
vo din ki koī bhī jab vaj.h-e-intizār na thī
ham un meñ terā sivā intizār karte rahe
ham apne raaz pe nāzāñ the sharmsār na the
har ek se suḳhan-e-rāz-dār karte rahe
ziyā-e-bazm-e-jahāñ baar baar maañd huī
hadīs-e-shola-ruḳhāñ baar baar karte rahe
unhīñ ke faiz se bāzār-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junūñ iḳhtiyār karte rahe