Faiz Ahmad Faiz

ab ke baras dastur-e-sitam mein kya kya bab izad hue

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
ab ke baras dastūr-e-sitam meñ kyā kyā baab īzād hue
jo qātil the maqtūl hue jo said the ab sayyād hue
pahle bhī ḳhizāñ meñ baaġh ujḌe par yuuñ nahīñ jaise ab ke baras
saare buuTe patta patta ravish ravish barbād hue
pahle bhī tavāf-e-sham-e-vafā thī rasm mohabbat vāloñ kī
ham tum se pahle bhī yahāñ 'mansūr' hue 'farhād' hue
ik gul ke murjhāne par kyā gulshan meñ kohrām machā
ik chehra kumhlā jaane se kitne dil nāshād hue
'faiz' na ham 'yūsuf' na koī 'yāqūb' jo ham ko yaad kare
apnī kyā kan.āñ meñ rahe yā misr meñ jā ābād hue
Top Urdushayar.com