vo ahd-e-ġham kī kāhish-hā-e-be-hāsil ko kyā samjhe
jo un kī muḳhtasar rūdād bhī sabr-āzmā samjhe
yahāñ vābastagī vaañ barhamī kyā jāniye kyuuñ hai
na ham apnī nazar samjhe na ham un kī adā samjhe
fareb-e-ārzū kī sahl-añgārī nahīñ jaatī
ham apne dil kī dhaḌkan ko tirī āvāz-e-pā samjhe
tumhārī har nazar se munsalik hai rishta-e-hastī
magar ye duur kī bāteñ koī nādān kyā samjhe
na pūchho ahd-e-ulfat kī bas ik ḳhvāb-e-pareshāñ thā
na dil ko raah par laa.e na dil kā mudda.ā samjhe