nasīb āzmāne ke din aa rahe haiñ
qarīb un ke aane ke din aa rahe haiñ
jo dil se kahā hai jo dil se sunā hai
sab un ko sunāne ke din aa rahe haiñ
abhī se dil o jaañ sar-e-rāh rakh do
ki luTne luTāne ke din aa rahe haiñ
Tapakne lagī un nigāhoñ se mastī
nigāheñ churāne ke din aa rahe haiñ
sabā phir hameñ pūchhtī phir rahī hai
chaman ko sajāne ke din aa rahe haiñ
chalo 'faiz' phir se kahīñ dil lagā.eñ
sunā hai Thikāne ke din aa rahe haiñ