phir lauTā hai ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb safar se
phir nūr-e-sahar dast-o-garebāñ hai sahar se
phir aag bhaḌakne lagī har sāz-e-tarab meñ
phir sho.ale lapakne lage har dīda-e-tar se
phir niklā hai dīvāna koī phūñk ke ghar ko
kuchh kahtī hai har raah har ik rāhguzar se
vo rañg hai imsāl gulistāñ kī fazā kā
ojhal huī dīvār-e-qafas hadd-e-nazar se
sāġhar to khanakte haiñ sharāb aa.e na aa.e
bādal to garajte haiñ ghaTā barse na barse
pā-posh kī kyā fikr hai dastār sambhālā
pāyāb hai jo mauj guzar jā.egī sar se