Faiz Ahmad Faiz

kis harf pe tu ne gosha-e-lab ai jaan-e-jahan ghammaz kiya

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984

kis harf pe ne gosha-e-lab ai jān-e-jahāñ ġhammāz kiyā

elān-e-junūñ dil vāloñ ne ab ke ba-hazār-andāz kiyā

sau paikāñ the paivast-e-gulū jab chheḌī shauq lai ham ne

so tiir tarāzū the dil meñ jab ham ne raqs āġhāz kiyā

be-hirs-o-havā be-ḳhauf-o-ḳhatar is haath pe sar is kaf pe jigar

yuuñ kū-e-sanam meñ vaqt-e-safar nazzāra-e-bām-e-nāz kiyā

jis ḳhaak meñ mil kar ḳhaak hue vo surma-e-chashm-e-ḳhalq banī

jis ḳhaar pe ham ne ḳhuuñ chhiḌkā ham-rañg-e-gul-e-tannāz kiyā

lo vasl saa.at aa pahuñchī phir hukm-e-huzūrī par ham ne

āñkhoñ ke darīche band kiye aur siine dar baaz kiyā

Top Urdushayar.com