Faiz Ahmad Faiz

kiye aarzu se paiman jo maal tak na pahunche

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
kiye aarzū se paimāñ jo ma.aal tak na pahuñche
shab-o-roz-e-āshnā.ī mah o saal tak na pahuñche
vo nazar baham na pahuñchī ki muhīt-e-husn karte
tirī diid ke vasīle ḳhad-o-ḳhāl tak na pahuñche
vahī chashma-e-baqā thā jise sab sarāb samjhe
vahī ḳhvāb mo'tabar the jo ḳhayāl tak na pahuñche
tirā lutf vaj.h-e-taskīñ na qarār sharh-e-ġham se
ki haiñ dil meñ vo gile bhī jo malāl tak na pahuñche
koī yaar jaañ se guzrā koī hosh se na guzrā
ye nadīm-e-yak-do-sāġhar mire haal tak na pahuñche
chalo 'faiz' dil jalā.eñ kareñ phir se arz-e-jānāñ
vo suḳhan jo lab tak aa.e pe savāl tak na pahuñche
Top Urdushayar.com