husn marhūn-e-josh-e-bāda-e-nāz
ishq minnat-kash-e-fusūn-e-niyāz
dil kā har taar larzish-e-paiham
jaañ kā har rishta vaqf-e-soz-o-gudāz
sozish-e-dard-e-dil kise ma.alūm
kaun jaane kisī ke ishq kā raaz
merī ḳhāmoshiyoñ meñ larzāñ hai
mere nāloñ kī gum-shuda āvāz
ho chukā ishq ab havas hī sahī
kyā kareñ farz hai adā-e-namāz
tū hai aur ik taġhāful-e-paiham
maiñ huuñ aur intizār-e-be-andāz
ḳhauf-e-nākāmī-e-umīd hai 'faiz'
varna dil toḌ de tilism-e-majāz