Faiz Ahmad Faiz

kabhi kabhi yaad mein ubharte hain naqsh-e-mazi miTe miTe se

Faiz Ahmad Faiz

Sialkot, Punjab, Pakistan

1911-1984
kabhī kabhī yaad meñ ubharte haiñ naqsh-e-māzī miTe miTe se
vo āzmā.ish dil o nazar kī vo qurbateñ sī vo fāsle se
kabhī kabhī aarzū ke sahrā meñ aa ke rukte haiñ qāfile se
vo saarī bāteñ lagāv kī sī vo saare unvāñ visāl ke se
nigāh o dil ko qarār kaisā nashāt o ġham meñ kamī kahāñ kī
vo jab mile haiñ to un se har baar kī hai ulfat na.e sire se
bahut girāñ hai ye aish-e-tanhā kahīñ subuk-tar kahīñ gavārā
vo dard-e-pinhāñ ki saarī duniyā rafīq thī jis ke vāste se
tumhīñ kaho rind o mohtasib meñ hai aaj shab kaun farq aisā
ye aa ke baiThe haiñ mai-kade meñ vo uTh ke aa.e haiñ mai-kade se
Top Urdushayar.com