Shafiq Aazmi

samajh mein uski maqam-e-bashar nahin aaya

Shafiq Aazmi

Sarai Mir, Uttar pradesh, India

samajh meñ us kī maqām-e-bashar nahīñ aayā
jise ḳhud apne sivā kuchh nazar nahīñ aayā
rahegī pyāsī ye dhartī mire ḳhudā kab tak
ruteñ guzar ga.iiñ bādal idhar nahīñ aayā
hazār chāñd sitāroñ kī sair kar aa.e
hameñ zamīn pe chalnā magar nahīñ aayā
zamīr bechnā āsāñ sahī magar yaaro
ḳhatā muaaf hameñ ye hunar nahīñ aayā
bhale the din to hazāroñ the gird-o-pesh mire
paḌā jo vaqt to koī nazar nahīñ aayā
ye sāneha hai mire ahd kā ki jab dekhā
koī bhī shahr meñ muḳhlis nazar nahīñ aayā
abhī se kis liye pathrāv kā samāñ hai 'shafīq'
abhī to phal bhī koī peḌ par nazar nahīñ aayā
Top Urdushayar.com