ham ko aadat qasam nibhāne kī
un kī fitrat hai bhuul jaane kī
sar jhukā kar maiñ kyuuñ nahīñ jiitī
bas shikāyat yahī zamāne kī
us kī shartoñ pe mujh ko hai jiinā
kaisī dīvāngī divāne kī
us ko nafrat hai yā mohabbat hai
phir zarūrat hai āzmāne kī
ba.ad marne ke le ke jā.ūñgī
aarzū apne āshiyāne kī
maiñ to yuuñ bhī sulag rahī 'sarhad'
kyā paḌī aag yuuñ lagāne kī