unheñ ab koī aa.inā dījiye
zarā aslī sūrat dikhā dījiye
biThā.e haiñ pahre bahut aap ne
zabāñ pe bhī taalā lagā dījiye
vichāroñ se hī vo to bīmār haiñ
koī soch kī ab davā dījiye
sazā hī sahī kuchh to de jā.iye
vafāoñ kā ab to sila dījiye
jo insāñ se insāñ ko vāqif kare
hameñ koī aisā ḳhudā dījiye
mohabbat hai ye kab ye bandhan lagī
bhale kitnī sarhad banā dījiye