ye dard-e-hijr aur is par sahar nahīñ hotī
kahīñ idhar kī to duniyā udhar nahīñ hotī
na ho rihā.ī qafas se agar nahīñ hotī
nigāh-e-shauq to be-bāl-o-par nahīñ hotī
satā.e jaao nahīñ koī pūchhne vaalā
miTā.e jaao kisī ko ḳhabar nahīñ hotī
nigāh-e-barq alāva mire nasheman ke
chaman kī aur kisī shāḳh par nahīñ hotī
qafas meñ ḳhauf hai sayyād kā na barq kā Dar
kabhī ye baat nasīb apne ghar nahīñ hotī
manāne aa.e ho duniyā meñ jab se ruuTh gayā
ye aisī baat hai jo darguzar nahīñ hotī
phiruñgā hashr meñ kis kis se pūchhtā tum ko
vahāñ kisī ko kisī kī ḳhabar nahīñ hotī
kisī ġharīb ke naale haiñ aap kyuuñ chauñke
huzūr shab ko azān-e-sahar nahīñ hotī
ye maanā aap qasam khā rahe haiñ va.adoñ par
dil-e-hazīñ ko tasallī magar nahīñ hotī
tumhīñ duā.eñ karo kuchh marīz-e-ġham ke liye
ki ab kisī kī duā kārgar nahīñ hotī
bas aaj raat ko tīmārdār so jaa.eñ
marīz ab na kahegā sahar nahīñ hotī
'qamar' ye shām-e-firāq aur iztirāb-e-sahar
abhī to chār-pahar tak sahar nahīñ hotī