karnā hai kār-e-ḳhair to phir sar na dekhnā
barseñ jo terī zaat pe patthar na dekhnā
lagne lageñge dost bhī dushman sabhī tumheñ
ya.anī hai kis ke haath meñ ḳhanjar na dekhnā
rakhnā haqīqateñ bhī nigāhoñ ke sāmne
din raat sirf ḳhvāb kā manzar na dekhnā
rah jaa.e rañg-o-bū se ta.alluq tirā agar
phūloñ ko apne haath se chhū kar na dekhnā
jaanā agar hai paar to ho kar savār tum
kashtī ke saath saath samundar na dekhnā
ḳhud karnā zindagī se vafāoñ kā faisla
kyā kah rahā hai tum se muqaddar na dekhnā
masrūf apnī jañg meñ rahnā sadā magar
nazreñ uThā ke tum kabhī uupar na dekhnā