taḳht-e-tā.ūs mirā taḳht-e-hazāra tum ho
mere shahzāde mirī aañkh kā taarā tum ho
maiñ tire ishq meñ lailā to kabhī hiir banī
tum ho majnūñ yā ho farhād gavārā tum ho
maiñ ne kaaTī hai tire pyaar meñ ye umr-e-ravāñ
jis ke ḳhvāboñ meñ sadā vaqt guzārā tum ho
ziist to terī amānat thī tire saath rahī
aur phir khel samajh kar jise haarā tum ho
jis kī āġhosh meñ merā hai safīna 'vishma'
is samundar kā mirī jaan kināra tum ho