Dhalak ke girne se ye dil mirā Darā huā hai
chhalakte ashkoñ meñ us ne mujhe rakhā huā hai
ġhamoñ ke saare parinde hī is pe aa baiThe
ḳhushī kī rut meñ zarā sā jo dil harā huā hai
nahīñ haiñ bolne vaale jo chaar sū apne
hamāre kānoñ meñ ye shor kyuuñ bharā huā hai
mujhe milegā vo tinkā hī nāḳhudā ban kar
mire liye kisī tūfāñ meñ jo bahā huā hai
bujhā sake nahīñ tūfān-e-sīm-o-zar us ko
havā ke ruḳh pe charāġh-e-anā jalā huā hai
mirī bhī pahlī mohabbat thī sirf yak-tarfa
mire bhī saath huā sab se jo sadā huā hai
tumhāre pyaar kā qarzā hai is qadar dil par
faqīr-e-dil bhī to qistoñ meñ hī ghirā huā hai
hai saañs saañs meñ ḳhushbū usī kī ab 'sādī'
vafā kā phuul jo dil meñ mire khilā huā hai