suḳhan-var huuñ suḳhan-fahmī kī lazzat baañT detā huuñ
maiñ apne sher ko ḳhushbū kī sūrat baañT detā huuñ
faqat apne liye kuchh bhī kabhī rakkhā nahīñ maiñ ne
maiñ auroñ ke liye apnī zarūrat baañT detā huuñ
unheñ majbūr kar detī hai ḳhud se pyaar karne meñ
maiñ logoñ ke diloñ meñ mohabbat baañT detā huuñ
faqat do-bol hī chāhat ke duniyā kī zarūrat haiñ
maiñ logoñ ke diloñ meñ ye masarrat baañT detā huuñ
bahut mumkin hai ye bhī ek din nāzuk-badan nikle
maiñ patthar ko bhī shīshe kī nazākat baañT detā huuñ
mohabbat naam hai dushman ko bhī dil se lagāne kā
maiñ apne pyaar se duniyā meñ hairat baañT detā huuñ
yahī aadat to hai 'sādī' sukūn-e-qalb kā baa.is
maiñ nafrat bhuul jaatā huuñ mohabbat baañT detā huuñ