ḳhauf-e-jāñ ās-pās rahtā hai
dil yuuñ hī kab udaas rahtā hai
dekh kar ab lahū kī arzānī
har koī bad-havās rahtā hai
saare insāñ bichhaḌ ga.e to kyā
merā ġham mere paas rahtā hai
jab se dil ko diye haiñ us ne zaḳhm
karb-o-ġham ās-pās rahtā hai
aadmī jā basegā sūraj par
aisā bhī kyā qayās rahtā hai
ḳhauf-e-dariyā use nahīñ hotā
jo samundar-shanās rahtā hai