Ahsan Imam Ahsan

bechain dil hai phir bhi chehre pe dilkashi hai

Ahsan Imam Ahsan

Hazaribagh, Jharkhand, India

1968
bechain dil hai phir bhī chehre pe dilkashī hai
muflis kī zindagī meñ jo kuchh hai qudratī hai
ehsās kā parinda jaagā hai mere andar
us kī atā se ḳhush huuñ dil mahv-e-bandagī hai
sahrāoñ se to pyāse lauTe nahīñ kabhī ham
dariyā ke beach meñ haiñ to pyaas lag rahī hai
ham sochte haiñ akasr kyuuñ hashr sā hai barpā
jazboñ meñ hai tarāvat fikroñ meñ sho.alagī hai
mausam kī hī tarah ab insāñ badal rahe haiñ
ye faiz-e-āgahī hai yā qasd-e-gumrahī hai
kis se kahūñ maiñ 'ahsan' roz-e-azal se ab tak
kuTiyoñ meñ tīrgī hai mahloñ meñ raushnī hai
Top Urdushayar.com