mujh ko ḳhushiyāñ na sahī ġham kī kahānī de de
jis ko maiñ bhuul na pā.ūñ vo nishānī de de
mujh ko būḌhā na kahe mere zamāne vaalā
ai ḳhudā mujh ko vo e.ajāz-e-javānī de de
rāt-bhar jāgtā rahtā huuñ ki jiinā hai azaab
āñkheñ jo chāhtī haiñ niiñd suhānī de de
sun ke ġhazloñ ko mirī jhuum uThe har koī
mire ash.ār ko vo husn-o-ma.ānī de de
yaad kar ke maiñ jise bhuul sakūñ ġham 'ahsan'
tū mujhe aisī koī chiiz purānī de de