ek rañgīn ḳhvāb hai duniyā
yā nashāt-e-sarāb hai duniyā
ġhaur se paḌh sako to samjhoge
ek dilkash kitāb hai duniyā
uljhanoñ ne ye kar diyā sābit
ik musalsal azaab hai duniyā
bhaa.ī bhaa.ī kā ḳhuun kartā hai
socho kitnī ḳharāb hai duniyā
hai sazā hī sazā hamāre liye
kis qadar pur-itāb hai duniyā
dil lagāo na us se ai 'ahsan'
ek be-faiz ḳhvāb hai duniyā