lahū-luhān sā manzar hamārī aañkh meñ hai
hamārā jaltā huā ghar hamārī aañkh meñ hai
fasād meñ jo tabāhī huī hamāre yahāñ
usī kā aaj bhī ik Dar hamārī aañkh meñ hai
hamārī samt uchhālā gayā thā jo ik din
lahū se surḳh vo patthar hamārī aañkh meñ hai
nizām hind kā bigḌā hai jab se ai 'ahsan'
tabhī se surḳh samundar hamārī aañkh meñ hai
use na chhīn sakā koī mujh se ai 'ahsan'
ubhartā Dūbtā aḳhtar hamārī aañkh meñ hai