asr-e-hāzir kā jo insān nazar aatā hai
bas pareshān pareshān nazar aatā hai
nafrat-o-buġhz kī masmūm havā aisī chalī
kūcha-e-jānāñ bhī vīrān nazar aatā hai
mirī hastī kī imārat bhī girā saktā hai
us kī āñkhoñ meñ jo tūfān nazar aatā hai
zinda insān bhī jalte haiñ chitāoñ meñ jahāñ
mulk ye aisā hī shamshān nazar aatā hai
hādisa kaisā ye guzrā hai ki har sū mujh ko
karb-o-āzār kā tūfān nazar aatā hai
is qadar baḌh ga.ī saffākī-e-insāñ 'ahsan'
jis ko dekho vahī haivān nazar aatā hai