Ahsan Imam Ahsan

KHayal wo bhi mere zehn ke makan mein tha

Ahsan Imam Ahsan

Hazaribagh, Jharkhand, India

1968
ḳhayāl vo bhī mire zehn ke makān meñ thā
jo aaj tak na makīn-e-gumāñ ke dhyān meñ thā
vo dekhtā rahā hasrat se āsmāñ kī taraf
chhupā huā vo parinda jo sā.ebān meñ thā
zamīñ pe koī samā.at thī muntazir merī
sadā kī shakl muallaq maiñ āsmān meñ thā
mirā nasīb to ḳhushiyoñ kī bhiiḌ meñ aksar
charāġh kī tarah raushan kisī dukān meñ thā
kabhī mujhe bhī to karnā paḌegā samjhauta
bahut dinoñ se ye ḳhadsha mire gumān meñ thā
tire savāl kā kaise javāb detā maiñ
ki jab maiñ khoyā huā fikr kī uḌaan meñ thā
vahī to aag lagātā phirā gulistāñ meñ
jo 'ahsan' ahl-e-chaman meñ na bāġhbān meñ thā
Top Urdushayar.com