ajiib karb sā hai zindagī ke chehre par
añdherā jaise kisī raushnī ke chehre par
yaqīn kaise karūñ maiñ tumhārī bātoñ kā
ki qatre ashk ke haiñ sho.alagī ke chehre par
chhupā milā mujhe ġham kī siyāh rātoñ meñ
jise maiñ DhūñD rahā huuñ ḳhushī ke chehre par
zamāne-bhar meñ hue hādse jo roz-o-shab
numāyāñ haiñ vo mirī shā.irī ke chehre par
jo ik ḳhulūs thā nāpaid ho gayā 'ahsan'
ġhubār-e-buġhz hai ab dostī ke chehre par