Sahar Ansari

hum ahl-e-zarf ki gham-KHana-e-hunar mein rahe

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
ham ahl-e-zarf ki ġham-ḳhāna-e-hunar meñ rahe
sifāl-e-nam kī tarah dast-e-kūza-gar meñ rahe
farār mil na sakā habs-e-jism-o-jāñ se ki ham
tilism-ḳhāna-e-takrār-e-ḳhair-o-shar meñ rahe
kisī ko qurb-e-musalsal kā hausla na huā
misāl-e-dūd-e-pareshāñ ham apne ghar meñ rahe
na sañg-e-mīl thā koī na koī naqsh-e-qadam
tamām umr havā kī tarah safar meñ rahe
na ham sharār-e-dil-e-sañg the na rañg-e-hinā
suḳhan kī aag bane harf-e-tāza-tar meñ rahe
vo log jin kī zabāñ sho.ala-e-tamanna thī
savāl ban ke zamāne kī chashm-e-tar meñ rahe
Top Urdushayar.com