Sahar Ansari

na dosti se rahe aur na dushmani se rahe

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
na dostī se rahe aur na dushmanī se rahe
hameñ tamām gile apnī āgahī se rahe
vo paas aa.e to mauzū-e-guftugū na mile
vo lauT jaa.e to har guftugū usī se rahe
ham apnī raah chale log apnī raah chale
yahī sabab hai ki ham sargirāñ sabhī se rahe
vo gardisheñ haiñ ki chhuT jaa.eñ ḳhud hī baat se haat
ye zindagī ho to kyā rabt-e-jāñ kisī se rahe
kabhī milā vo sar-e-rahguzar to milte hī
nazar churāne lagā ham bhī ajnabī se rahe
gudāz-qalb kahe koī yā ki harjā.ī
ḳhulūs o dard ke rishte yahāñ sabhī se rahe
Top Urdushayar.com