Sahar Ansari

ek aas ka dhundla saya hai ek pas ka tapta sahra hai

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
ik aas kā dhundlā saaya hai ik paas kā taptā sahrā hai
kyā dekh rahe ho āñkhoñ meñ in āñkhoñ meñ kyā rakkhā hai
jab khone ko kuchh paas bhī thā tab paane kā kuchh dhyān na thā
ab sochte ho kyuuñ sochte ho kyā khoyā hai kyā paayā hai
maiñ jhuuT ko sach se kyuuñ badlūñ aur raat ko din meñ kyuuñ gholūñ
kyā sunñe vaalā bahrā hai kyā dekhne vaalā andhā hai
har ḳhaak meñ hai gauhar ġhaltāñ har gauhar meñ miTTī raqsāñ
jis ruup ke sab gun gaate haiñ vo ruup bhī kis ne dekhā hai
kis dil kī baat kaheñ ham tum kis dil kā dard saheñ ham tum
dil patthar hai dil shīsha hai dil sahrā hai dil dariyā hai
ab saare taare kañkar haiñ ab saare hiire patthar haiñ
is bastī meñ kyuuñ aa.e ho is bastī meñ kyā rakkhā hai
ye marnā jiinā bhī shāyad majbūrī kī do lahreñ haiñ
kuchh soch ke marnā chāhā thā kuchh soch ke jiinā chāhā hai
Top Urdushayar.com