tañg aate bhī nahīñ kashmakash-e-dahr se log
kyā tamāshā hai ki marte bhī nahīñ zahr se log
shahr meñ aa.e the sahrā kī fazā se thak kar
ab kahāñ jā.eñge āseb-zada shahr se log
naḳhl-e-hastī nazar aa.egā kabhī naḳhl-e-salīb
ziist kī faal nikāleñge kabhī zahr se log
ham ko jannat kī fazā se bhī ziyāda hai aziiz
yahī be-rañg sī duniyā yahī be-mehr se log
mutma.in rahte haiñ tūfān-e-masā.ib meñ kabhī
Duub jaate haiñ kabhī dard kī ik lahr se log
ai zamīñ aaj bhī zarre haiñ tire mahr-tarāsh
ai falak aaj bhī laḌte haiñ tire qahr se log
sirf mahrūmī-e-farhād kā kyā zikr 'sahar'
be-sutūñ kaaT ke mahrūm rahe nahr se log