Sahar Ansari

kisi bhi zaKHm ka dil par asar na tha koi

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
kisī bhī zaḳhm kā dil par asar na thā koī
ye baat jab kī hai jab chāra-gar na thā koī
kisī se rañg-e-ufuq hī kī baat kar lete
ab is qadar bhī yahāñ mo'tabar na thā koī
banā.e jā.ūñ kisī aur ke bhī naqsh-e-qadam
ye kyuuñ kahūñ ki mirā ham-safar na thā koī
guzar ga.e tire kūche se ajnabī kī tarah
ki ham se silsila-e-bām-o-dar na thā koī
jise guzār ga.e ham baḌe hunar ke saath
vo zindagī thī hamārī hunar na thā koī
ajiib hote haiñ ādāb-e-ruḳhsat-e-mahfil
ki uTh ke vo bhī chalā jis kā ghar na thā koī
hujūm-e-shahr meñ shāmil rahā aur is ke ba.ad
'sahar' udhar bhī gayā maiñ jidhar na thā koī
Top Urdushayar.com