Sahar Ansari

ajab tarah se main sarf-e-malal hone laga

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
ajab tarah se maiñ sarf-e-malāl hone lagā
jo shahr kā hai vahī dil kā haal hone lagā
sab us kī bazm meñ the mujrmoñ kī tarah ḳhamosh
ham aa ga.e to hamīñ se savāl hone lagā
ab āsmāñ se mujhe shikva-e-jafā bhī nahīñ
har inqalāb mire hasb-e-hāl hone lagā
hamāre kaif-o-masarrat meñ ehtimām kahāñ
havā.e taaza chalī jī bahāl hone lagā
jo ḳhush nahīñ hai 'sahar' ban ke merā ham-sāya
vo kis gumāñ pe mirā ham-ḳhayāl hone lagā
Top Urdushayar.com