Sahar Ansari

hath aa saka hai silsila-e-jism-o-jaan kahan

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
haath aa sakā hai silsila-e-jism-o-jāñ kahāñ
apnī talab meñ ghuum chukā huuñ kahāñ kahāñ
jis bazm meñ gayā talab-e-sar-ḳhushī liye
mujh se tire ḳhayāl ne pūchhā yahāñ kahāñ
maiñ aaj bhī ḳhalā meñ huuñ kal bhī ḳhalā meñ thā
mere liye zamīn kahāñ āsmāñ kahāñ
tū hai so apne husn ke bā-vasf ġham-nasīb
maiñ huuñ to mere haath meñ kaun-o-makāñ kahāñ
hotī hai ek dushmanī o dostī kī had
is had ke ba.ad zahmat-e-lafz-o-bayāñ kahāñ
rāh-e-junūñ meñ tesha-ba-dast aa gayā huuñ maiñ
har sañg hai girāñ magar itnā girāñ kahāñ
ab chhoḌiye tasavvur-e-zulf-o-mizha 'sahar'
dasht-e-ġham-e-jahāñ meñ koī sā.ebāñ kahāñ
Top Urdushayar.com