Sahar Ansari

visal-o-hijr se wabasta tohmaten bhi gain

Sahar Ansari

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1939
visāl-o-hijr se vābasta tohmateñ bhī ga.iiñ
vo fāsle bhī ga.e ab vo qurbateñ bhī ga.iiñ
diloñ kā haal to ye hai ki rabt hai na gurez
mohabbateñ to ga.iiñ thī adāvateñ bhī ga.iiñ
lubhā liyā hai bahut dil ko rasm-e-duniyā ne
sitamgaroñ se sitam kī shikāyateñ bhī ga.iiñ
ġhurūr-e-kaj-kulahī jin ke dam se qaa.em thā
vo jur.ateñ bhī ga.iiñ vo jasārateñ bhī ga.iiñ
na ab vo shiddat-e-āvārgī na vahshat-e-dil
hamāre naam kī kuchh aur shohrateñ bhī ga.iiñ
dil-e-tabāh thā be-nām hasratoñ kā dayār
so ab to dil se vo be-nām hasrateñ bhī ga.iiñ
hue haiñ jab se barahna zarūratoñ ke badan
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī pinhāñ nazākateñ bhī ga.iiñ
hujūm-e-sarv-o-saman hai na sail-e-nik.hat-o-rañg
vo qāmateñ bhī ga.iiñ vo qayāmateñ bhī ga.iiñ
bhulā diye ġham-e-duniyā ne ishq ke ādāb
kisī ke naaz uThāne kī fursateñ bhī ga.iiñ
karegā kaun matā-e-ḳhulūs yuuñ arzāñ
hamāre saath hamārī saḳhvāteñ bhī ga.iiñ
na chāñd meñ hai vo chehra na sarv meñ hai vo jism
gayā vo shaḳhs to us kī shabāhateñ bhī ga.iiñ
gayā vo daur-e-ġham-e-intizār-e-yār 'sahar'
aur apnī zaat pe dānista zahmateñ bhī ga.iiñ
Top Urdushayar.com