milī bhī kyā dar-e-daulat se kār-e-ishq kī daad
yahī ki tesha-e-farhād bar-sar-e-farhād
ruḳh-e-numū ko shikāyat faqat ḳhizāñ se nahīñ
bahār meñ bhī huī kisht-e-jism-o-jāñ barbād
davām maañg rahā huuñ guzarte lamhoñ se
hai zindagī se mohabbat hī zindagī kā tazād
zamāne bhar ke ġhamoñ se alag thalag rah kar
sukūñ bahut hai magar hai dil-e-sukūñ barbād
shu.ūr-e-ġham ḳhabar-e-zīst e'tibār-e-vajūd
sazā hai yā ki jazā hai ye ālam-e-ījād
matā.a-e-sher-o-suḳhan bhī jabhī salāmat hai
ki mere log mirī bastiyāñ raheñ ābād
ma.āl-e-kohkan-o-qais dekh kar bhī 'sahar'
chale haiñ kū-e-tamannā ko har che baad ai baad