kyā kisī lamha-e-rafta ne satāyā hai tujhe
in dinoñ maiñ ne pareshān sā paayā hai tujhe
bahr-e-shādābī-e-jazbāt kī ai mauj-e-ravāñ
kaun is dasht-e-balā-ḳhez meñ laayā hai tujhe
terī tanvīr salāmat magar ai mahr-e-mubīñ
ghar kī dīvār pe yuuñ kis ne sajāyā hai tujhe
shikva-e-talḳhi-e-hālāt bajā hai lekin
is pe rotā huuñ ki maiñ ne bhī rulāyā hai tujhe
gaah pahnā hai tujhe ḳhil.at-e-zarrīñ kī tarah
gaah paivand ke mānind chhupāyā hai tujhe
tū kabhī mujh se rahī misl-e-sabā dāman-kash
aur kabhī apne hī bistar pe sulāyā hai tujhe
merī āshufta-mizājī meñ nahīñ koī kalām
ruuTh ke saare zamāne se manāyā hai tujhe