kahīñ vo chehra-e-zebā nazar nahīñ aayā
gayā vo shaḳhs to phir lauT kar nahīñ aayā
kahūñ to kis se kahūñ aa ke ab sar-e-manzil
safar tamām huā ham-safar nahīñ aayā
maiñ vo musāfir-e-dasht-e-ġham-e-mohabbat huuñ
jo ghar pahuñch ke bhī soche ki ghar nahīñ aayā
sabā ne faash kiyā rāz-e-bū-e-gesū-e-yār
ye jurm ahl-e-tamannā ke sar nahīñ aayā
kabhī koī tire va.adoñ kā tazkira chheḌe
to kyā kahūñ ki koī nāma-bar nahīñ aayā
phir ek ḳhvāb-e-vafā bhar rahā hai āñkhoñ meñ
ye rañg hijr kī shab jaag kar nahīñ aayā
mire lahū ko mirī ḳhāk-e-nāguzīr ko dekh
yūñhī salīqa-e-arz-e-hunar nahīñ aayā
na jaane zabt ke hāthoñ 'sahar' pe kyā guzrī
bahut dinoñ se vo āshufta-sar nahīñ aayā